
Na Jaane Iss Zidd Ka Nateeza Kya Hoga;
Samjhata Dil Bhi Nahi, Main Bhi Nahi, Tum Bhi Nahi!

Anjaan The Hum Anajaan Hi Rehne Do,
Kisi Ki Yaadon Mein Humein Pal Pal Yun Hi Marne Do;
Kyon Karte Ho Badnaam Lekar Naam Hamaara,
Ab To Is Naam Ko Gumnaam Rehne Do!

Shohrat Ki Bulandi Bhi Pal Bhar Ka Tamasha Hai;
Jis Daal Pe Baithe Ho Wo Toot Bhi Sakti Hai!

Ai 'Zauq' Takalluf Mein Hai Takleef Sarasar;
Aaram Mein Hai Woh Jo Takalluf Nahi Karta!

Zamana Bade Shaunk Se Sun Raha Tha;
Humin So Gaye Dastaan Kehte Kehte!

Duniya Ke Jo Maze Hain Harghiz Wo Kam Na Honge;
Charche Yun Hi Rahenge Afsos Hum Na Honge!

Kyon Chalte Chalte Ruk Gaye Veerna Raasto;
Tanha Hun Aaj Main Zara Ghar Tak To Saath Do!

Kashti-e-Mai Ko Hukam-e-Ravani Bhi Bhej Do;
Jab Aag Bhej Di Hai To Paani Bhi Bhej Do!

Ujale Apni Yaadon Ke Hamare Saath Rehne Do;
Na Jaane KIs Gali Mein Zindagi Ki Sham Ho Jaye!

Qurbatein Hote Hue Bhi Fanslon Mein Qaid Hain;
Kitni Azadi Se Hum Apni Hadon Mein Qaid Hain!