Dard Ka Har Ek Ke Ehsas Kanta Hi Sahi;
Ye Wo Kanta Hai Jise Dil Mein Chubhona Pad Gaya!
Dard-o-Gham Dil Ki Tabiyat Ban Gaye;
Ab Yahan Aaram Hi Aaram Hai!
Aadmi Aadmi Se Milta Hai; Dil Magar Kam Kisi Se Milta Hai!
Ab Khushi Deke Azma Le Khuda; In Gamon Se To Main Mra Nahi!
Jis Ko Shabnam Mile Na Hisse Ki; Phool Wo Adh-Khila Sa Hota Hai!
Tumhein Aansoo Bahane Ko Bhi Mil Jaayen Kai Kandhe; Magar Mujh Ko Aziyyat Mein Pareshan Kaun Dekhega!
Dil Ko Bhi Gham Ka Saleeqa Na Tha Pehle Pehle; Us Ko Bhi Bhoolna Achha Laga Pehle Pehle!
Dil Samundar Tha Lekin Ye Tishna-Labi; Meri Qismat Mein Kis Roz Likhi Gayi! *Tishna-Labi: Having Parched Lips, Thirsty
Koi Shai Dil Ko Bahlati Nahi Hai; Pareshani Ki Rutt Jaati Nahi Hai! *Shai: Things/Objects
Ja Baithe Nadi Kinare Raat Aur Main; Donon Ik Duje Ke Sahare Raat Aur Main!



