
Hamare Haath Se Wo Bhi Nikal Gaya Aakhir; Ki Jis Khayal Mein Hum Muddaton Se Khoye The!

Mere Dukh Ki Dawa Bhi Rakhta Hai;
Khud Ko Mujh Se Juda Bhi Rakhta Hai!

Tum Jo Hote To Baat Kuch Hoti; Ab Ki Barish To Sarf Paani Hai!

Main Na Kehti Thi Udaasi Ke Siwa Kuch Bhi Nahi; Aap Ne Dekha Mera Veeran Ghar Kaisa Laga!

Tujh Se Ab Aur Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti; Khud Ko Itni Bhi Aziyyat Nahi Di Ja Sakti! *Aziyyat: Trouble, Torment, Difficulty

Samjha Liya Fareb Se Mujh Ko To Aap Ne; Dil Se To Puch Lijiye Kyun Be-Qarar Hai!

Meri Rusvai Ke Asbab Hain Mere Andar; Aadmi Hun So Bahut Khwab Hain Mere Andar!

Bas Ik Jhijhak Hai Yahi Hal-e-Dil Sunane Mein;
Ki Tera Zikr Bhi Aayega Is Fasane Mein!

Wo Tere Gham Ko Pehchane Nahi Hain; Abhi Apno Mein Begane Nahi Hain!

Hamare Sabr Ka Ik Imtihan Baaki Hai; Isi Liye To Abhi Tak Ye Jaan Baaki Hai!