Kehte Toh Ho Yun Kehte, Yun Kehte Jo Yaar Aata;
Sab Kehne Ki Baat Hai, Kuch Bhi Nahi Kaha Jata!

Teri Dosti Mein Khud Ko Mehfooz Mante Hain;
Hum Doston Mein Tumhein Sabse Azeez Mante Hain;
Teri Dosti Ke Saeye Mein Zinda Hain;
Hum Toh Tujhe Khuda Ka Diya Hua Taveez Mante Hain!

Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do;
Behte Hain Ashq To Inhe Behne Do;
Bewafai Shamil Na Karo Dosti Ki Raahon Mein;
Kam Se Kam Dosti Ko Toh Dosti Rehne Do!

Hum Whiskey Nahi Pite, Hum Rum Bhi Nahi Pite;
Hum Gam Bhulane Ke Naam Pe, Jaam Hi Nahi Pite;
Aggar Mil Jaye Yaaron Ki Mehfil;
To Khuda Ki Kasam, Hum Kisi Se Kam Nahi Pite!

Hai Khabar Garam Unke Aane Ki;
Aaj Hi Ghar Mein Borya Na Hua!

Dosti Se Kimati Koi Jageer Nahi Hoti;
Dosti Se Khubsurt Koi Tasveer Nahi Hoti;
Dosti Yoon Toh Kacha Dhaga Hai Magar;
Is Dhage Se Majboot Koi Zanjeer Nahi Hoti!
Dosti Ka Jo Kiya Karte Hain Daawa Ehbaab;
Waqt Padta Hai To Sab Aankh Chura Lete Hain!
Jab Dosti Ki Dastaan Waqt Sunayega;
Hum Ko Bhi Koi Shaks Yaad Ayega;
Tab Bhool Jayenge Zindagi Ke Ghamon Ko;
Jab Aap Ke Saath Guzra Waqt Yaad Aayega!
Kamjoriya Na Dhoond Mujh Mein Dost Mere;
Ek Tu Bhi To Shamil Hai Meri Kamzoriyon Mein!

Mujhko Aashiq Kahke Uske Roo Baroo Mat Kijiyo;
Dostaan ! Gar Dost Ho To Yeh Kabho Mat Kijiyo!