
Mere Liye Meri Jaan Hai Teri Dosti;
Zindagi Ka Har Armaan Hai Teri Dosti;
Mujhko Na Koi Umeed Na Koi Shikwa Hai Zamane Se;
Mujh Par Khuda Ka Ehsaan Hai Teri Dosti!

Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samjthe Ho Faraz;
Dost Hota Nahi Har Haath Milanay Waala!
Guzre Dinon Ki Bhuli Hui Baat Ki Tarha;
Ankhon Me Jagta He Koi Rat Ki Tarha;
Tumse Umed Thi K Nibhao Gey Dosti;
Tum Bhi Badal Gaye Mausam Aur Halaat Ki Tarha!

Yaaron Khud Ka Dil Na Dukhana;
Kabhi Bhi Aazmayish Ko Had Se Na Guzarna;
Dosti Ki Bhi Majbooriyan Hoti Hain,Insaan Ki Bhi;
Ise Samajhna Bhoole Se Bhi Ghalat Na Hume Thehrana!
Geet Ki Zaroorat Mehfil Mein Hoti Hai;
Pyar Ki Zaroorat Dil Mein Hoti Hai;
Bin Dosti Ke Adhuri Hai Yeh Zindagi;
Kyunki Dost Ki Zaroorat Har Pal Mehsus Hoti Hai!

Unhe Yeh Khauf Ki Har Baat Mujhse Kar Daali;
Mujhe Ye Weham Koi Khaas Baat Baaki Hai!

Dosti Shayad Zindagi Hoti Hai;
Jo Har Dil Mein Basi Hoti Hai;
Waise To Jee Lete Hain Sabhi Akele Magar;
Phir Bhi Zaroorat Inn Ki Har Kisi Ko Hoti Hai!

Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge;
Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge;
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana;
Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge!
Gunah Karke Saza Se Darte Hai;
Zehar Pee Ke Dawa Se Darte Hai;
Dushmano Ke Sitam Ka Khauff Nahi;
Hum Toh Doston Ki Wafa Se Darte Hain!

Har Tarah K Shikve Ko Seh Lete Hai;
Zindagi Ko Yuhi Jee Lete Hai;
Mila Lete Hai Hath Jinse Dosti Ka;
Un Hathon Se Fir Zeher Bhi Pe Lete Hai!