
Hum Doston Ko Bhulte Nahi Hain;
Magar Yeh Baat Jatate Nahi Hain;
Doston Ko Hamesha Rakhte Hain Yaad;
Hum Bhulne Ke Liye Dost Banate Nahi Hain!

Bolti Hai Dosti Chup Rahta Hai Pyar;
Hasti Hai Dosti Rulata Hai Pyar;
Milti Hai Dosti Bichhadta Hai Pyar;
Phir Na Jane Log Kyon Karte Hain Pyar!

Chahoon To Ab Bhi Janibe-Manzil Palat Chalu;
Gumraah Is Liye Hun Ki Rahbar Khafha Na Ho!
Translation:
Janibe-Manzil: Towards The Destination

Mere Bigre Hue Kaamon Ko Banaya Tu Ne;
Bojh Jo Mujh Se Na Utha Woh Uthaya Tu Ne!

Dost Ho Kar Bhi Mahino Nahi Miltaa Mujhse;
Uss Se Kehna Ke Kabhi Zakhm Lagaane Aaye!

Mere Kuch Dost Mujhe Yoon Bhi Sataane Aaye;
Khud Mujhe Mera Hi Afsaana Sunaane Aaye;
Din Ke Dhalte Hue Lamhon Ki Kiran Wo Lekar;
Mere Tareek-E-Muqaddar Ko Jagaane Aaye!

Mehfil Mein Kuch To Sunaana Padta Hai;
Apna Gham Bhul Ke Muskuraana Padtaa Hai;
Kabhi Hum Bhi Unke Dost Hua Karte The;
Ab Ye Humein Unhe Yaad Dilaana Padtaa Hai!

Yaad Karte Hai Tumhe Tanhai Mein;
Dil Dooba Hai Gam Ki Gehraai Mein;
Hume Mat Dhundna Duniya Ki Bhid Mein Aye Dost;
Hum Milenge Tumhe Tumhari Hi Parchai Mein!

Logon Ne To Thukra Diya Haal-e-Gharibi Dekh Ker Dost;
Hum To Aaj Bhi Badshah Hain Dosti Ke Bazaar Mein!
Taaron Mein Akela Chaad Jagmagata Hai;
Mushquilo Mein Akela Insaan Dagmagata Hai;
Kaate Se Ghabrana Mat Mere Dost;
Kyunki Kaaton Mein Hi Akela Gulab Muskurata Hai!