
Ek Dafa Wo Mujhe Dil Mein To Aane Deta;
Main Use Shaam Nahi Deta Zamane Deta!

Agar Main Un Ki Nigahon Se Gir Gaya Hota;
To Aaj Apni Nazar Se Utar Gaya Hota!

Nazron Mein Kahan Us Ki Wo Pehle Sa Raha Main;
Hansta Hun Ki Kya Soch Ke Karta Tha Wafa Main!

Behtar Dinon Ki Aas Lagate Hue 'Habeeb';
Hum Behtarin Din Bhi Ganvate Chale Gaye!

Le Chala Jaan Meri Rooth Ke Jana Tera;
Aise Aane Se To Behtar Tha Na Aana Tera!

Paane Ki Tarah Ka Na To Khone Ki Tarah Ka;
Hona Bhi Yahan Par Hai Na Hone Ki Tarah Ka!

Kitne Mah-o-Anjum Hain Ziya-Pash Azal Se;
Lekin Na Hui Kam Dil-e-Insan Ki Siyahi!

Jahan Saansein Nahi Chalti Vahan Kya Chal Raha Hai;
Bahisht-e-Khak Mein Ai Raftagan Kya Chal Raha Hai!

Aap Ko Ghair Se Ulfat Ho Gayi;
Haan Jabhi To Mujh Se Nafrat Ho Gayi!

Tumhare Khat Mein Naya Ik Salaam Kis Ka Tha;
Na Tha Raqib To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha!