Nazron Mein Kahan Us Ki Wo Pehle Sa Raha Main;
Hansta Hun Ki Kya Soch Ke Karta Tha Wafa Main!
Behtar Dinon Ki Aas Lagate Hue 'Habeeb';
Hum Behtarin Din Bhi Ganvate Chale Gaye!
Le Chala Jaan Meri Rooth Ke Jana Tera;
Aise Aane Se To Behtar Tha Na Aana Tera!
Paane Ki Tarah Ka Na To Khone Ki Tarah Ka;
Hona Bhi Yahan Par Hai Na Hone Ki Tarah Ka!
Kitne Mah-o-Anjum Hain Ziya-Pash Azal Se;
Lekin Na Hui Kam Dil-e-Insan Ki Siyahi!
Jahan Saansein Nahi Chalti Vahan Kya Chal Raha Hai;
Bahisht-e-Khak Mein Ai Raftagan Kya Chal Raha Hai!
Aap Ko Ghair Se Ulfat Ho Gayi;
Haan Jabhi To Mujh Se Nafrat Ho Gayi!
Tumhare Khat Mein Naya Ik Salaam Kis Ka Tha;
Na Tha Raqib To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha!
Jo Dil Par Bojh Hai Yarab Zara Bhi Kam Nahi Hota;
Zamana Gham To Deta Hai Sharik-e-Gham Nahi Hota!
Kisi Ke Jaal Mein Aa Kar Main Apna Dil Ganva Baitha;
Mujhe Tha Ishq Qatil Se Main Apna Sar Kata Baitha!



