
Ai Chaand Chala Ja Kyon Aaya Hai Tu Meri Chaukhat Pe;
Chhod Gaya Wo Shakhs Jiske Dhokhe Mein Tujhe Dekhte The!

Chalo Baant Lete Hain Apni Sajayein;
Na Tum Aao Na Hum Yaad Aayein!

Apne Apne Kiye Pe Hain Hum Dono Itne Sharminda;
Dil Se Hum Katrata Hai Aur Hum Dil Se Katrate Hain!

Koi Chirag Jalata Nahi Saleeke Se;
Magar Sabhi Ko Shikayat Hawa Se Hoti Hai!

Waqt Aane De Dikha Denge Tujhe Ai Aasman;
Hum Abhi Se Kyon Batayein Kya Hamare Dil Mein Hai!

Mohabbat Rang De Jaati Hai Jab Dil Dil Se Milta Hai;
Magar Mushkil To Ye Hai Dil Badi Mushkil Se Milta Hai!

Koi Hum-Dum Na Raha Koi Sahara Na Raha;
Hum Kisi Ke Na Rahe Koi Hamara Raha!

Hothon Pe Kabhi Unke Mera Naam Hi Aaye;
Aaye Toh Sahi, Bar-Sar-e-Ilzam Hi Aaye!

Kaun Kehta Hai Hum Jhooth Nahi Bolte;
Ek Baar Khairiyat Toh Puch Ke Dekhiye!

Ek Lamhe Mein Bikhar Jata Hai Tana-Bana;
Aur Phir Umar Guzar Jaati Hai Yakjai Mein!