
Ek Ho Jayein To Ban Sakte Hain Khurshid-e-Mubin;
Varna In Bikhre Hue Taaron Se Kya Kaam Bane!

Dil Ki Bisat Kya Thi Nigah-e-Jamal Mein;
Ik Aaina Tha Toot Geya Dekh Bhaal Mein!

Baat Ulti Wo Samjhte Hain Jo Kuch Kehta Hun;
Ab Ke Pucha Toh Ye Keh Dunga Ki Haal Achha Hai!

Jab Pyaar Nahi Hai Toh Bhula Kyon Nahi Dete;
Khat Kis Liye Rakhe Hain Jala Kyon Nahi Dete!

Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai;
Unka Har Aaib Bhi Zamane Ko Hunar Lagta Hai!

Girna Tha Jo Aapko Toh Sau Maqaam The;
Yeh Kya Kiya Aapne KeiNigaahon Se Gir Gaye!

Anjaane Shehar Mein Kisi Ne Peeche Se Patthar Maara Hai;
Zakham Keh Raha Hai, Koi Apna Hai Iss Shehar Mein!

Bana Kar Usne Mere Sang Ret Ka Mahal;
Na Jaane Kyon Baarishon Ko Khabar Kar Di!

Sirf Do Hi Gawah The Meri Wafa Ke;
Ek Waqt, Aur Ek Woh;
Ek Guzar Geya Aur Ek Mukar Geya!

Yeh Sang-Dilon Ki Duniya Hai, Yahan Sambhal Ke Chalna Dost;
Yahan Palkon Pe Bithaya Jata Hai, Nazron Se Girane Ke Liye!