Baat Ulti Wo Samjhte Hain Jo Kuch Kehta Hun;
Ab Ke Pucha Toh Ye Keh Dunga Ki Haal Achha Hai!
Jab Pyaar Nahi Hai Toh Bhula Kyon Nahi Dete;
Khat Kis Liye Rakhe Hain Jala Kyon Nahi Dete!
Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai;
Unka Har Aaib Bhi Zamane Ko Hunar Lagta Hai!
Girna Tha Jo Aapko Toh Sau Maqaam The;
Yeh Kya Kiya Aapne KeiNigaahon Se Gir Gaye!
Anjaane Shehar Mein Kisi Ne Peeche Se Patthar Maara Hai;
Zakham Keh Raha Hai, Koi Apna Hai Iss Shehar Mein!
Bana Kar Usne Mere Sang Ret Ka Mahal;
Na Jaane Kyon Baarishon Ko Khabar Kar Di!
Sirf Do Hi Gawah The Meri Wafa Ke;
Ek Waqt, Aur Ek Woh;
Ek Guzar Geya Aur Ek Mukar Geya!
Yeh Sang-Dilon Ki Duniya Hai, Yahan Sambhal Ke Chalna Dost;
Yahan Palkon Pe Bithaya Jata Hai, Nazron Se Girane Ke Liye!
Tum Mohabbat Thi Meri, Isliye Khafa Tha;
Gair Hoti Toh Fikar Hi Na Hoti!
Basa Kar Khud Ko Meri Aankhon Mein Kahan Chale Tum;
Ye Shehar Ishq Hai, Yahan Hijrat Ki Izazat Nahi!



