Tu Hai Suraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh;
Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Shaam Ke Baad!
Jeene Ka Haq Saamraj Ne Cheen Liya,
Utho Marne Ka Haq Istemal Karo;
Zillat Ke Jeene Se Marna Behtar Hai,
Mit Jao Ya Qasr-e Sitam Pamal Karo!
Ana Ki Mauj Masti Mein Abhi Bhi Badshah Hain Hum;
Jo Hum Ko Tod Deta Hai, Hum Us Ko Chodd Dete Hain!
Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mehsoos Ho Jahan;
Main Dil Ko Us Muqaam Pe Lata Chala Gaya!
Zara Chup-Chap Toh Baitho Ki Dum Aaram Se Nikle;
Idhar Hum Hichki Lete Hain Udhar Tum Rone Lagte Ho!
Nigahon Se Qatal Kar De Na Ho Takleef Dono Ko;
Tujhe Khanjar Uthane Ki Mujhe Gardan Jhukane Ki!
Na Jaane Iss Zid Ka Nateeja Kya Hoga,
Samjhata Dil Bhi Nahi Main Bhi Nahi Tum Bhi Nahi!
Udaas Kar Deti Hai Har Roz Yeh Shaam Mujhe;
Lagta Hai Tu Bhool Raha Hai Mujhe Dheere-Dheere!
Woh Jo Humse Nafrat Karte Hain,
Hum Toh Aaj Bhi Sirf Un Par Marte Hain;
Nafrat Hai To Kya Hua Yaaron,
Kuch Toh Hai Jo Wo Sirf Humse Karte Hai!
Udta Hua Gubaar Sar-e-Raah Dekh Kar,
Anjaam Humne Ishq Ka Socha Toh Ro Diye;
Baadal Fiza Mein Aapki Tasvir Ban Gaye,
Saaya Koi Khayal Se Gujra To Ro Diye!



