Patthar Liye Har Mod Pe Kuchh Log Khade Hain;
Is Shahar Mein Kitane Hai Mere Chaahane Waale!
Tum Mere Pass Hote Ho Goya;
Jab Koi Dusra Nahi Hota!
Aahon Se Soz-e-Ishq Mitaya Na Jaye Ga;
Phoonkon Se Yeh Chirag Bhujaya Na Jaye Ga!
Faqat Nigah Se Hota Hai Faisla Dil Ka;
Na Ho Nigah Mein Shokhi Toh Dilbari Kya Hai!
Apni Zoja Ki Ta'aruf Mein Kaha Ek Shakhs Ne,
Dil Se Un Ka Mo'taraf Hun Main Zubani Hi Nahi;
Chai Bhi Achhi Banati Hai Meri Begham Magar,
Munh Bnane Mein Toh Un Ka Koi Saani Hi Nahi!
Main Tere Milne Ko Mojza Keh Raha Tha Lekin;
Tere Bicharne Ka Saniha Bhi Kamaal Guzra!
Maine Chaha Hai Tujhe Aam Se Insan Ki Tarah;
Tu Mera Khwab Nahi Hai Jo Bikhar Jaye Ga!
Ab Koi Khushi Hai Na Koi, Dard Rulane Wala;
Hum Ne Apna Liya Har, Rang Zamane Wala!
Mujhe Ghuman Tha Chaha Bahut Zamane Ne Mujhe;
Main Aziz Sabko Tha Magar Zarurat Ke Liye!
Kaun Pareshan Hota Hai Tere Gham Se Faraz;
Woh Apni Hi Kisi Baat Pe Roya Hoga!



