Tumhare Baad Main Jis Ka Ho Gaya;
Haan Usi ka Naam 'Tanhai' Hai!
Nigaahon Se Qatal Karde, Na Ho Taqleef Dono Ko;
Tujhe Khanjar Uthhane Ki, Mujhe Gardan Jhukane Ki!
Rakhe Hain Dil Mein Humne Bade Ehatraam Se;
Jo Gham Diye Hain Tumne Mohabbat Ke Naam Se!
Humne Pyaar Nahi Ishq Nahi Ibaadat Ki Hai,
Rasmon Se Riwazon Se Bagawat Ki Hai;
Manga Tha Hum Ne Jise Apni Duaaon Mein,
Usi Ne Mujhse Juda Hone Ki Chahat Ki Hai!
Woh Nafratein Paale Rahe Hum Pyaar Nibhate Rahe;
Lo Yeh Zindagi Bhi Kat Gayi Khaali Haath Si!
Mera Mohtaaz Hona Toh Meri Haalat Se Zaahir Hai;
Magar Haan Dekhna Hai Aap Ka Haajat-Rawa Hona!
Yeh Aarzoo Thi Ki Hum Us Ke Saath Chalein;
Magar Woh Shakhs Toh Raasta Badalta Jata Hai!
Zikr Jab Chhid Geya Qayamat Ka;
Baat Pahunchi Teri Jawani Tak!
Udaas Kar Deti Hai Har Roz Yeh Shaam Mujhe,
Lagta Hai Tu Bhool Raha Hai Mujhe Dheere-Dheere!
Khushbu Ki Tarah Aaya Woh Tez Hawaaon Mein,
Maanga Tha Jise Humne Din Raat Duaaon Mein;
Tum Chhat Pe Nahi Aaye Main Ghar Se Nahi Nikla,
Yeh Chaand Bahut Bhatka Saawan Ki Ghataaon Mein!



