Dillagi Thi Use Hum Se, Mohabbat Kab Thi,
Mehfil-e-Gair Se Unko Fursat Kab Thi,
Hum The Mohabbat Mein Laut Jaane Ke Qaabil,
Us Ke Vaadoon Mein Woh Haqeeqat Kab Thi!
Sazaa Dene Wale Razaa Puchte Hain,
Jeene Ki Humse Vajah Puchte Hain,
Dete Hain Khud Hi Zeher Humko Aakar,
Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain!
Aziyat Musibat Mlamat Balayen,
Tere Ishq Mein Hum Ne Kya Kya Na Dekha!
Ajab Paheliyan Hain Haathon Ki Lakeeron Mein,
Safar Hi Safar Likha Hai Humsafar Koi Nahi!
Woh Roz Dekhta Hai Doobte Hue Suraj Ko 'Faraz';
Kaash Main Bhi Kisi Shaam Ka Manzar Hota!
Aaine Kee Aankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye,
Jaane Ab Kya Kya Dikhayega Tumhaara Dekhna!
Har Roz Koi Khwaab Toot Jata Hai;
Har Roz Koi Apna Rooth Jata Hai;
Na Jaane Meri Qismat Mein Kya Hai;
Jise Main Yaad Karun Wohi Mujhe Bhool Jata Hai!
Na Kar Zidd Apni Aukat Mein Reh Ai Nadaan Dil;
Woh Bade Log Hain Apne Shaunk Se Yaad Karte Hain!
Apni Tamanna Se Kabhi Kuch Nahi Chaha Tha Hum Ne,
Uss Ki Khushi Dhundhte Rahe Toh Badnaam Ho Gaye!
Door Rehne Wale Tumhein Ek Baat Kehna Chahta Hun,
Agar Mera Khyaal Aaye Toh Apna Khyaal Rakhna!



