Ab Is Ke Baad Mujhe Kuch Khabar Nahin Unki;
Dil Aashna Hue, Apne Hue, Paraye Hue!
Khabar: News
Aashna: Acquainted
Qateel Apna Muqaddar Gham Se Begaana Agar Hota;
To Phir Apne Paraye Hum Se Pehchaane Kahan Jaate!
Muqaddar: Fate
Begaana: Unrelated
Safar Pe Aaj Wahi Kashtiyan Nikaltein Hain;
Jinhe Khabar Hai Hawayein Bhi Tez Chalti Hain!
Kashtiyan: Boats
Mujhe Na Dekho Mere Dil Ka Dhuan Dekho;
Jala Hai Kaise Ye Aabad Saa Makaan Dekho!
Ameeron Tak Rasaai Ho Chuki Bas;
Meri Bakht-Aazmayai Ho Chuki Bas!
Rasaai: Reach, Access
Bakht: Luck
Mujhe Kaam Rone Se Aksar Hai Naaseh;
Tu Kab Tak Mere Munh Ko Dhoota Rahega!
Naaseh: Preacher
Ujr Aane Mien Hai Aur Bulate Bhi Nahi;
Baais-e-Tarq-e-Mulaqaat Batate Bhi Nahi!
Ujr: Excuses, Refusal To Meet
Baais-e-Tarq-e-Mulaqaat: The Reason For Not Meeting
Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerein Kuch Na Dawaa Ne Kaam Kiya;
Dekha Iss Bimari-e-Dil Ne Aakhir Kaam Tamaam Kiya!
Teri Rah-e-Talab Mein Zakhm Sab Seene Pe Khaaye Hain;
Bahaar-e-Gulsitaan Meri Hayaat-e-Jaavedaan Meri!
Raah-e-talab: The path of desire
Bahaar-e-gulsitaan: Spring season of the garden
Hayaat-e-Jaavedaan: Spouse
Wo Be-Dardi Se Sar Kaatein Amir Aur Main Kahun Un Se;
Huzoor Aahista-Ahista, Janaab Ahista-Aahista!



