Ab Bhi Logon Ke Dil Mein Khar Ki Soorat Khatakta Hun;
Abhi Tak Yaad Hai Ahl-e-Chaman Ko Daastan Meri!
Ahl-e-Chaman: Gulshan, Gunche, Nasheman
Apne Man Mein Doob Kar Paa Ja Surag-e-Zindagi;
Tu Agar Mera Nahi Banta Na Ban, Apna To Ban!
Khudi Wo Behar Hai Jis Ka Koi Kinaara Nahi;
Tu Aabju Ise Samajha Agar Toh Chaara Nahi!
Baag Mein Le Ke Janam Hum - Ne Aseeri Jheli;
Hum Se Achhe Rahe Jungle Mein Jo Aazaad Rahe!
Aseeri: Imprisonment, Captivity
Mere Guzre Hue Tevar Abhi Bhooli Nahi Duniya,
Abhi Bikhri Hui Hain Har Taraf Parchaiyaan Meri!
Sar Salamat Liye Laut Aaye Gali Se Uski;
Yaar Ne Hum Ko Koi Dhang Ki Khidmat Nahi Di!
Kisi Se Juda Hona Itna Aasan Hota Toh,
Jism Se Rooh Ko Lene Farishte Nahi Aate!
Rahein Na Rind Ye Waaiz Ke Bas Ki Baat Nahin;
Tamaam Shehar Hai Do-Chaar-Das Ki Baat Nahin!
Qaid-e-Hayaat Aur Band-e-Gham Asl Mein Dono Ek Hain;
Maut Se Pehle Aadmi Gham Se Nazaat Paaye Kyon!
Dil Khush Hua Hai Masjid-e-Veera Ko Dekh Kar;
Meri Tarah Khuda Ka Bhi Khaana Kharaab Hai!



