Sair-e-Sahil Kar Chuke Ai Mauj-e-Sahil Sar Na Mar;
Tujh Se Kya Behalenge Toofanon Ke Bahlaaye Hue!
Dil Ki Barbaadiyon Pe Naajaa Hun;
Fateh Pa Kar Shikast Khayi Hai!
Daag-e-Dil Se Bhi Roshni Na Mili;
Ye Diya Bhi Jala Ke Dekh Liya!
Dekh Toh Dil Ki Jaan Se Uthta Hai;
Ye Dhuan Sa Kahan Se Uthta Hai!
Shehar Mein Lagta Nahi Sehra Mein Ghabrata Hai Dil;
Ab Kahan Le Ja Ke Baithein Aise Deewane Ko Hum!
Kya Laaye Ho Khuloos-e-Mohabbat, Khuloos-e-Dil;
Is Jins Ka To Koi Bhi Khareedaar Nahi Hai!
Kahan Door Hat Ke Jaayein , Hum Dil Ki Sarzameen Se;
Dono Jahan Ki Sairein Haasil Hai Sab Yahin Se!
Ek Humein Aawara Kehna, Koi Bada Ilzaam Nahi;
Duniya Wale Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehte Hain!
Sauda Jahan Mein Aa Ke Koi Kuch Na Le Geya;
Jaata Hun Ek Main Dil-e-Pur-Aarzoo Liye!
Aankhon Mein Jo Bhar Loge Toh Kaanton Se Chubhenge;
Yeh Khwaab Toh Palkon Pe Sajaane Ke Liye Hain!



