Ab Maut Se Keh Do Narazgi Khatam Kar Le;
Woh Badal Geya Hai Jiske Liye Hum Zinda The!
Kis Kis Ki Zubaan Rokne Jaaun Teri Khaatir;
Kis Kis Ki Tabaahi Mein Tera Haath Nahi Hai!
Thokar Na Laga Mujhe Pathar Nahi Hu Main;
Hairat Se Na Dekh Mujhe Manzar Nahi Hu Main;
Teri Nazaro Mein Meri Kader Kuch Bhi Nahi;
Mager Unse Pooch Jinhe Haasil Nahi!
Humari Haisiyat Ka Andaza Tum Yeh Jaan Ke Laga Lo;
Hum Kabhi Unke Nahi Hote Jo Har Kisi Ke Ho Gaye!
Jab Tum Saath The Toh Gham Bhi Has Ke Seh Lete The Hum;
Ab Jo Nahi Ho Saath Toh Khushiyan Bhi Sahi Nahi Ja Rahi Hain!
Nazron Ko Tere Pyaar Se Inkar Nahi Hai;
Ab Mujhe Kisi Aur Ka Intezar Nahi Hai;
Khamosh Agar Hun Main To Yeh Wuzood Hai Mera;
Tum Yeh Na Samajhna Ki Tumse Pyaar Nahi Hai!
Dekha Jo Teer Kha Ke Kami-Gaah Ki Taraf;
Apne Hi Doston Se Mulaqaat Ho Gayi!
Jeena Bhi Aa Geya, Mujhe Marna Bhi Aa Geya;
Pehchaanne Laga Hun, Tumhari Nazar Ko Main!
Yeh Duniya Ek Lamhe Mein Tumhein Barbaad Kar Degi;
Mohabbat Agar Mil Bhi Jaye To Use Mashoor Mat Karna!
Dil Ki Veerani Ka Kya Majkoor Hai;
Ye Nagar Sau Martba Luta Gaya!



