Shayari



sms

Aadmiyon Se Bhari Hai Yah Sari Duniya Magar;
Aadami Ko Aadami Hota Nahin Hai Dastyaab!

sms

Dil Ki Veerani Ka Kya Mazkoor Hai;
Ye Nagar Sau Martba Loota Geya!

sms

Achha Hai Dil Ke Saath Rahe Paasbaan-e-Akal;
Lekin Kabhi-Kabhi Ise Tanha Bhi Chhod De!

sms

Mere Geet Sune Duniya Ne Magar;
Mera Dard Koi Na Jaan Saka;
Ek Tera Sahara Tha Dil Ko;
Tu Bhi Na Mujhe Pehchan Saka!

sms

Kuch Kadam Hum Chale Kuch Kadam Tum Chale;
Farq Sirf Itna Raha Hum Chale To Faasla Ghat-Ta Geya;
Aur Tum Chale To Faasla Badhta Geya!

sms

Aasmaan Itni Bulandi Pe Jo Itraataa Hai;
Bhool Jata Hai Zameen Se Hi Nazar Aataa Hai!

sms

Yahi Soch Kar Us Ki Har Baat Ko Sach Mana Hai Faraz;
Ki Itne Khoobsurat Lab Jhooth Kaise Bolein Gay!

sms

Pyar Tha Mohabbat Thi Ishq Tha Ada Thi;
Agar Wafa Bhi Hoti Toh Qayamat Tha Woh Shakhsh!

sms

Umeedon Ka Samandar Ufano Par Hai;
Khwahishein Kuch Adhuri Kuch Beimani;
Mil Bhi Jaye Toh Kya Khushi;
Jhoothi Hansi Bas Dikhawe Ki Hai!

sms

Unn Chiraago Mein Tel Hi Kam Tha;
Kyon Gila Fir Humein Hawa Se Rahe!

End of content

No more pages to load

Next page