Mat Puchna Us Se Musibat Hoti Hai Kya;
Jisne Kaati Ho Zindagi Muflisi Mein!
Humain Khabar Hai, Hawaa Ka Mizaaj Rakhte Ho;
Magar Yeh Kya, Ke Zara Dair Ko Rukey Bhi Nahin!
Yoon Bhi Hota Hai Ki Yak Dam Koi Achha Lag Jaye;
Baat Kuch Bhi Na Ho Aur Dil Mein Tamasha Lag Jaye!
Khoobiyan Itni To Nahi Hum Mein Ki Tumhein Kabhi Yaad Aayenge Lekin,
Itna To Aitbar Hai Humein Khud Par Ki Aap Kabhi Bhool Nahi Payenge!
Tumhein Dekhna To In Aankhon Kee Zaroorat Si Hai;
Tumhein Chahna To Is Dil Kee Ibaadat Si Hai;
Phir Bhi Na Jaane Kyon Hain Hamare Darmiyan Ye Dooriyan;
Shayad Khuda Ko Bhi Is Mohabbat Ka Imtihaan Lene Ki Aadat Si Hai!
Taluqaat Mein Aisi Rawadari Bhi Na Ho;
Mile To Mil Lena, Bichhde To Yaad Bhi Na Karna!
Kabhi Yeh Dua Ki Usse Mile Jahan Kee Khushiyan;
Kabhi Yeh Khauf Ki Woh Khush Mere Baghair Toh Nahi!
Baat Unchi Thi Magar Baat Zara Kam Aanki;
Usne Jazbaat Ki Aukaat Zara Kam Aanki;
Woh Farishta Keh Kar Mujhe Zaleel Karta Raha;
Main Insaan Hun, Meri Jaat Zara Kam Aanki!
Badalne Wale Toh Har Cheez Badal Dete Hain;
Kamaan Se Nikla Teer Badal Dete Hain;
Tum Toh Mere Chaar Aansu Na Badal Sake;
Badalne Wale Toh Taqdeer Badal Dete Hain!
Mere Pyaar Ki Wo Inteha Puchte Hain;
Dil Mein Hai Kitni Jagah Puchte Hain;
Chahte Hain Hum Unko Khud Se Zyada;
Iss Chahat Ki Bhi Woh Wajah Puchte Hain!



