Na Zindagi Mili Na Wafa Mili;
Na Jaane Kyon Har Khushi Humse Khafa Mili;
Jhoothi Muskaan Liye Apne Gham Chhupaate Hain;
Sachi Mohabbat Karne Ki Bhi Kya Khoob Saza Mili!
Nazar Mein Shokhiyan Lab Par Mohabbat Ka Fasaana Hai;
Meri Ummeed Ki Zad Mein Abhi Saara Zamaana Hai;
Kayi Jeete Hain Dil Ke Desh Par Maloom Hai Mujhko;
Sikandar Hoon Mujhe Ik Roz Khaali Haath Jaana Hai!
Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichhaye Raat Bhar;
Bheja Wahi Kaagaz Humne Likha Kuch Bhi Nahin!
Badalne Wale Toh Har Cheez Badal Dete Hain;
Kamaan Se Nikla Teer Badal Dete Hain;
Tum Toh Mere Chaar Aansu Na Badal Sake;
Badalne Wale Toh Taqdeer Badal Dete Hain!
Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe;
Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe;
Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai;
Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe!
Ungliyan Toot Gayi Patthar Tarashte Tarashte;
Aur Jab Bani Surat-e-Yaar Toh Kharidaar Aa Gaye!
Meri Neendein Udaane Wale;
Ab Tere Khawab Kaun Dekhega!
Yeh Ajab Qayamatein Hain Teri Rahguzar Mein Guzari;
Na Ho Ke Mar Mittein Hum, Na Ho Ke Jee Uthein Hum!
Fursat Mein Hi Yaad Kar Liya Karo Humein;
Do Pal Hi Mangte Hain Puri Zindagi Nahi!
Shayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Hui;
Lekin Yaqeen Sabko Dilaata Raha Hun Main!



