Na Karo Takraar, Mujhe Tumhara Hi Khayal Hai;
Phir Baat Se Baat Niklegi Aur Tum Rooth Jaoge!
Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Hui;
Lekin Yaqeen Sabko Dilata Raha Hoon Main!
Rokna Meri Hasrat Thi Aur Jaana Uss Kaa Shaunk;
Woh Shaunk Poora Kar Geya Meri Hasratien Tod Kar!
Woh Jo Kehta Hai Ishq Mein Kya Rakha Hai;
Ik Heer Ne Usko Apna Ranjha Bana Rakha Hai!
Narazgi Chahe Kitni Bhi Ho Tumse;
Par Tumhe Bhul Jane Ka Khayal Aaj Bhi Nahi Aata!
Utar Kar Dekho Mere Pyaar Ki Gehrai Mein;
Sochna Mere Bare Mein Raat Ki Tanhai Mein;
Agar Ho Jaye Mere Pyaar Ka Ehsaas Tumhein;
Milega Mera Aks Tumhein Apni Parchai Mein!
Apni Tasveer Banaoge Toh Hoga Ehsaas;
Kitna Dushwar Hai Khud Ko Koi Chehra Dena!
Tanha Rehna To Seekh Liya Hum Ne;
Par Khush Na Kabhi Reh Payengein;
Teri Doori To Phir Bhi Seh Leta Hai Yeh Dil;
Per Teri Mohabbat Ke Bin Na Jee Payengein!
Humse Khelti Rahi Duniya Taash Ke Patton Ki Tarah;
Jisne Jeeta Usne Bhi Phenka, Jisne Haara Usne Bhi Phenka!
Main Apni Khak Uthakar Kahan Kahan Ghumoon;
Tere Bagair Meri Zindagi Ki Keemat Kya!



