
Behtar Dinon Ki Aas Lagate Hue 'Habib';
Hum Behtarin Din Bhi Ganwate Chale Gaye!

Jaane Kyon Rooh Tan-Badan Mein Nahi;
Aaj Main Apne Pairahan Mein Nahi!

Kuch Taalluq Bhi Nahi Rasm-e-Jahan Se Aage; Us Se Rishta Bhi Raha Vahm-o-Guman Se Aage!

Ishq Mein Yaar Agar Wafa Na Kare; Kya Kare Koi Aur Kya Na Kare!

Gardish-e-Mah-o-Sal Se Aage Nikal Gaya Hun Main; Jaise Badal Gaye Ho Tum Jaise Badal Gaya Hun Main! * Gardish-e-Maah-o-Saal: A Movement of Months And Year

Sukhan Ka Lehja Guman-Khane Mein Reh Gaya Hai; Mera Zamana Kisi Zamane Mein Reh Gaya Hai! Guman-Khane - Places Of Imagination

Is Kadar Aap Ke Badle Hue Tevar Hain Ki Main; Apni Hi Cheez Uthate Hue Darr Jata Hun!

Yaqeen Kaise Karen Vaade Pe Tere; Yahi Vaada Hai Jo Karte Sabhi Hain!

Tumhein Ghairon Se Kab Fursat Hum Apne Gham Se Kam Khali; Chalo Bas Ho Chuka Milna Na Tum Khali Na Ham Khali!

Khata Us Ki Maafi Se Badi Hai; Main Kya Karta Saza Deni Padi Hai!