Shayari



sms

Kuch Taalluq Bhi Nahi Rasm-e-Jahan Se Aage;
Us Se Rishta Bhi Raha Vahm-o-Guman Se Aage!

sms

Ishq Mein Yaar Agar Wafa Na Kare;
Kya Kare Koi Aur Kya Na Kare!

sms

Gardish-e-Mah-o-Sal Se Aage Nikal Gaya Hun Main;
Jaise Badal Gaye Ho Tum Jaise Badal Gaya Hun Main!

* Gardish-e-Maah-o-Saal: A Movement of Months And Year

sms

Sukhan Ka Lehja Guman-Khane Mein Reh Gaya Hai;
Mera Zamana Kisi Zamane Mein Reh Gaya Hai!

Guman-Khane - Places Of Imagination

sms

Is Kadar Aap Ke Badle Hue Tevar Hain Ki Main;
Apni Hi Cheez Uthate Hue Darr Jata Hun!

sms

Yaqeen Kaise Karen Vaade Pe Tere;
Yahi Vaada Hai Jo Karte Sabhi Hain!

sms

Tumhein Ghairon Se Kab Fursat Hum Apne Gham Se Kam Khali;
Chalo Bas Ho Chuka Milna Na Tum Khali Na Ham Khali!

sms

Khata Us Ki Maafi Se Badi Hai;
Main Kya Karta Saza Deni Padi Hai!

sms

Kinara Doosra Dariya Ka Jaise;
Wo Saathi Hai Magar Mahram Nahi Hai;

sms

Kya Kya Hain Gile Us Ko Bata Kyon Nahi Deta;
Taazir-e-Khata Mujh Ko Suna Kyon Nahi Deta!

*Taazir-e-Khata: Punishment For Mistake

End of content

No more pages to load

Next page