Shayari



sms

Aaj Maine Phir Bheje The Jazbaat Apne,
Tumne Phir Alfaz Samajh Padh Kar Rakh Diye!

Hum To Unke Deedar Ke Bahaane Aate The Tere Dar Pe;
Maaf Karna Khudaa Agar Humse Ibadaat Na Hui To!

Khyalaon Ko Kisi Ki Aas Rehti Hai,
Nigahaon Ko Teri Talaash Rehti Hai,
Tere Bina Koi Kami Nahi Hai Lekin,
Tere Bagair Tabiyat Udaas Rehti Hai!

Talaash Kar Meri Kami Ko Apne Dil Mein,
Dard Ho To Samjh Lena Rishta Abhi Baaki Hai!

sms

Zamin Par Wo Mera Naam Likhte Hain Aur Mitate Hai;
Unka Toh Timepass Ho Jata Hai....Kambhakt Mitti Mein Hum Mil Jate Hai!

Ab Na Koi Shikwa, Na Gila, Na Koi Malal Raha;
Sitam Tere Bhi Be-Hisab Rahe, Sabr Mera Bhi Kamaal Raha!

sms

Raat Kitni Veeran Si Ho Jaati Hai,
Jab Kuch Apne Yaad Kiye Bina Hi So Jaate Hain!

sms

Naseeb-Naseeb Ki Baat Hoti Hai, Koi Nafrat Dekar Bhi Bepanah Pyaar Karta Hai;
Aur Koi Bepanah Pyaar Dekar Bhi Yahan Bas Khaali Haath Reh Jaata Hai!

sms

Tha Vaada Shaam Ka Magar Aaye Woh Raat Ko,
Main Bhi Kivaad Kholne Fauran Nahi Geya!

sms

Jo Kehte The Ki Rahenge Umar Bhar Saath Tere,
Ab Roothe Hain To Koi Manane Bhi Nahi Aaya!

End of content

No more pages to load

Next page