Shayari



Kissi Harf Main Kisi Baab Mein Nahi Aaye Ga,
Tera Zikar Meri Kitab Mein Nahi Aaye Ga!

Ajnabi Ban Ke Miloon Ga Main Tujhe Mehfil Mein,
Tu Ne Chedi Bhi To Main Baat Badal Jaaon Ga!

sms

Tujhe Paane Kee Chahat Itni Badh Gayi Ki Apno Kee Mohabbat Bhool Geya,
Inkaar Karke Bada Gunaah Kiya Tune Main Meri Sharafat Bhool Geya!

sms

Dil Bhi Toda To Salike Se Na Toda Tumne,
Bewafai Ke Bhi Aadab Hua Karte Hain!

sms

Phir Apne Aap Pe Us Ko Hijab Aata Hai,
Thirkati Jheel Pe Jab Mahtab Aata Hai,
Dikhaiye Na Humein Aap Mausami Aansu,
Ki Ye Hunar To Humein Be-Hisab Aata Hai!

sms

Ai Maut Aa Kar Humko Khamosh To Kar Gayi Tu,
Magar Sadiyon Dilon Ke Andar Hum Gunjte Rahenge!

sms

Hua Hai Chaar Sajdon Par Ye Dava Zahidon Tum Ko,
Khuda Ne Kya Tumhare Haath Jannat Bech Dali Hai!

sms

Zara Sa Jhooth Hi Keh Do Mujh Bin Tum Adhure Ho,
Tumhara Kya Bigadta Hai Bas Phir Se Mukar Jana!

sms

Aksar Sukhe Hue Honthon Se Hi Hoti Hai Meethi Baatein,
Pyaas Bujh Jaye To Alfaz Aur Insaan Dono Badal Jaya Karte Hain!

sms

Kaun Rota Hai Kisi Aur Kee Khaatir Ai Dost,
Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aayaa!

End of content

No more pages to load

Next page