Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya;
Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Gham Rozgaar Ke!
Kab Talak Tuj Pe Inhisar Krain;
Kyun Na Ab Doosron Se Pyar Krain;
Tu Kabi Waqt Par Nahi Pahuncha;
Kis Tarah Tera Aitbar Krain!
Ek Khushi Dil Ne Kya Maang Li;
Meri Har Khushi Ko Nazar Lag Gyi!
Phir Itne Mayoos Kyun Ho Uski Bewafayi Par Faraz;
Tum Khud Hi Toh Kehte Thay Ki Woh Sab Se Juda Hai!
Rail Ki Seeti Mein Kaise Hijr Ki Tamheed Thi;
Us Ko Rukhsat Karke Ghar Laute To Andaaza Hua!
Meri Wafa Ki Gawahi Toh Sitare Bhi Dete Hain;
Par Mere Chaand Ko Aaya Nahi Aitbar Mera!
Badi Hoti Hai Mayoosi, Badi Hoti Hai Mayoosi;
Bana Kar Hum Ne Naqash Aarzoo Aksar Mita Daala!
Ajeeb Saanehaa Guzraa Hai Mujh Pe Aaj Ki Shaam;
Main Aaj Shaam Tumhare Hijar Mein Udaas Na Tha;
Ab Ek Saal Toh Yeh Ek Gham Hi Kaafi Hai;
Tumhari Salgiraah Par Bhi Tumhare Paas Na Tha!
Yeh Kya Ke Tujhe Bhi Hai Zamaney Se Shikayat;
Yeh Kya Ke Teri Aankh Bhi Pur'num Hai Meri Jaan!
Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolne Wala Hai Qateel;
Jis Ke Hathon Mein Qalam, Paon Mein Zanjeerein Hain!



