Shayari



sms

Jigar Ho Jaega Chhalni Yeh Aankhein Khoon Royeingi Wasi;
Be Fainz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta!

sms

Tum Par Beete Gi Toh Tum Bhi Jaan Jaoge Mohsin;
Koi Nazar Andaz Kare Toh Kitna Dard Hota Hai!

Log Toh Majboor Hain Marenge Patthar;
Kyun Na Hum Sheeshon Se Keh Dein Toota Na Karein!

Kaha Talash Karoge Tum Mujh Jaisa Koi;
Jo Tumhare Sitam Bhi Sahe;
Aur Tum Se Mohabbat Bhi Kare!

sms

Ishq Qaatil Se Bhi, Maqtool Se Hamdardi Bhi;
Yeh Btaa Kis Se Mohabbat Ki Jaza Mange Ga!

Baat To Kirdar Ki Hoti Hai Ghalib;
Warna Qad Mein Toh Saya Bhi Insan Se Bada Hota Hai!

Maza Deti Hain Unko Zindagi Ki Thokrein Mohsin;
Jinko Naam­-e-Khuda Le Kar Sambhal Jane Ki Aadat Ho!

sms

Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai;
Un Ka Har Aaib Bhi Zamaane Ko Hunar Lagta Hai!

Translation:
Shajar = Tree
Aaib = Weakness

sms

Raiza Raiza Hai Akss Mera, Magar Hairat Yeh Hai;
Hai Mera Aayina Salamat, To Phir Toota Kya Hai!

Woh Dil Mein Hai;
Dhadkan Mein Hai;
Rooh Mein Hai Ghalib;
Sirf Kismat Mein Nahi Hai To Khuda Se Gila Kaisa!

End of content

No more pages to load

Next page