Nerangi Siasat e Doran To Dekhiye;
Manzil Unhein Mili Jo Shareek e Safar Na The!
Zameer Marta Hai Ehsaas Ki Khamoshi Se;
Ye Woh Wafaat Hai Jis Ki Khabar Nahi Hoti!
Kuch Aansu, Kuch Khushiyan De Kar Taal Gaya;
Jeevan Ka Ek Aur Sunehraa Saal Gaya;
Kon Jaane Ke Kal Ka Samaa Kaisa Ho Ga;
Ab Tak To Kal Sa Hi Hai Sab Haal Gaya!
Shor Hai, Hungaama Araayi Hai;
Zindagi, Tu Kahaan Le Aayi Hai;
Nafsa Nafsi Ka Ajeeb Aalam Hai;
Bheed Hai, Magar Tanhaai Hai!
Juda Huye Hain Bahut Log Ik Tum Bhi Sahi;
Ab Itni Si Baat Pe Kya Zindagi Haraam Karein!
Ishq Qaatil Say Bhi, Maqtool Say Hamdardi Bhi;
Yeh Bta Kis Say Mohabbat Ki Jaza Mangay Ga;
Sajda Khaaliq Ko Bhi, Iblees Say Yarana Bhi;
Hashr Mein Kis Say Aqeedat Ka Sila Mangay Ga!
Janey Kis Daur Mein Jaye Gi Yeh Aadat Meri;
Roothna Us Se Aur Auron Se Ulajhtey Rehnaa!
Umeed To Manzil Pe Pohnchnay Ki Bari Thi;
Taqdeer Magar Janay Kaha Soi Padi Thi;
Khush Thay K Guzarein Gey Rafaqat Mein Saffr Ab;
Tanhai Magar Baahon Ko Phir Kholay Khadi Thi!
Chand Kaliyan Noshaat Ki Chun Kar;
Muddaton Mahv-e-Yaas Rehta Hoon;
Tujhse Milna Khushi Ki Baat Sahi;
Tujhse Mil Kar Udaas Rehta Hoon!
Sharminda Meri Rooh Ki Sachayiyan Huin;
Tabsraa Woh Zameer Ne Kirdaar Par Kiya!



