Husn Walon Ko Kya Zaroorat Hai Sanwarne Ki;
Woh To Saadgi Mein Bhi Qayamat Ki Ada Rakhte Hain!
Mitti Ki Anokhi Moorat Ho Tum;
Zindagi Ki Ek Zarurat Ho Tum;
Phool Toh Khoobsurat Hote Hain;
Phoolon Se Bhi Khoobsurat Ho Tum!
Ab Main Samjha Tere Rukhsaar Pe Til Ka Matlab;
Daulat-e-Husn Pe Darbaan Bitha Rakha Hai!
Rukhsaar: Cheek
Darbaan: Door Keeper
Tum Ne Hi Naqsh Naqsh Kiya Har Lakeer Ko;
Warna Khud Apne Roop Kahan Jaanta Tha Main!
Naqsh: Photograph
Ab Main Samjha Tere Rukhsaar Pe Til Ka Matlab;
Daulat-e-Husn Pe Darbaan Bitha Rakha Hai!
Rukhsaar: Cheek
Darbaan: Door Keeper
Yeh Toh Nahi Ki Tum Sa Jahan Mein Haseen Nahi;
Iss Dil Ko Kya Karun Ye Behalta Kahin Nahi!
Hota Hai Mire Dil Mein Haseenon Ka Guzar Bhi;
Ik Anjuman-e-Naaz Hai Allah Ka Ghar Bhi!
Aap Pehlu Mein Jo Baithein Toh Sambhal Kar Baithe;
Dil-e-Betaab Ko Aadat Hai Machal Jaane Ki!
Dil Hi To Hai Na Aaye Kyon, Dam Hi To Hai Na Jaaye Kyon;
Hum Ko Khuda Jo Sabr De Tujh Sa Haseen Banaaye Kyon!
Husn Ka Kya Kaam Sachhi Mohabbat Mein;
Jab Aankhein Majnu Ho To Laila Haseen Lagati Hain!



