Shayari



sms

Kitna Hasin Chaand Sa Chehra Hai;
Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai;
Khuda Ko Yakin Na Tha Wafa Pe;
Tabhi To Ek Chaand Pe Hazaaro Taaro Ka Pehra Hai!

sms

Tujhko Dekha Toh Phir Us Ko Na Dekha Humne;
Chaand Kehta Hi Raha Main Chaand Hun Main Chaand Hun!

Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Dogi Dil Mera;
Tumhare Hi Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar!

sms

Fir Teri Nigahon Ko Aaina Banaya Hai;
Le Dekh Fir Muddaton Baad Ye Husn Nikhar Aaya Hai!

Zidd Bhi Ki Dil Ne To Ishq Karne Ki;
Aaj Kehta Hai Ki Tune Mujhe Roka Bhi Nahi!

Aafat To Hai Woh Naaz Bhi, Andaz Bhi Lekin;
Marta Hun Main Jis Par, Woh Ada Aur Hi Kuch Hai!

sms

Husn Ki Chahat Mein Ishq Ko Humne Thukra Diya;
Husn Ne Yehi Silsila Hamari Zindagi Mein Dohra Diya!

sms

Meri Nigah-E-Shauq Bhi Kuch Kam Nahi Magar,
Phir Bhi Tera Shabab Tera Hi Shabab Hai!

sms

Koi Aag Jaise Kohre Mein Dabi Dabi Si Chamke;
Teri Jhilmilati Aankhon Mein Ajeeb Sa Samaa Hai!

sms

Tu Dekh Ya Na Dekh, Tere Dekhne Ka Gham Nahi;
Par Teri Ye Na Dekhne Kee Ada Dekhne Se Kam Nahi!

End of content

No more pages to load

Next page