Sirf Aankhon Ko Dekh Ke Kar Li Unse Mohabbat;
Chhod Diya Apne Muqaddar Ko Uske Naqaab Ke Peeche!
Chaand Sa Jab Kaha To Gila Karne Lage;
Bole, Chaand Kahiye Na, Chaand Saa Kya Hai!
Tere Deedar Pe Agar Mera Ikhtiyar Hota,
Yeh Roz Roz Hota Aur Baar Baar Hota!
Badi Aarzoo Thi Mohabbat Ko Benaqab Dekhne Ki,
Dupatta Jo Sarka To Zulfein Deewar Ban Gayi!
Naqab To Unka Sir Se Lekar Paanv Tak Tha,
Magar Aankhein Bayaan Kar Rahi Thi Ki Mohabbat Ki Shaukeen Wo Bhi Thi!
Khushbu Bikharti Hui Gulab Ki Kali Ho,
Titli Si Udti Hui Naazo Se Pali Ho,
Sangmarmari Badan Liye Sancho Mein Dhali Ho,
Kitno Ko Loot Liya Tum Wo Manchali Ho!
Tarasha Hai Unko Badi Fursat Se,
Zulfein Jo Unki Badaal Ki Yaad Dila Den;
Nazar Bhar Dekh Le Jo Wo Kisi Ko,
Kisi Nekdil Insaan Ki Bhi Niyat Bigad Jaye!
Agar Teri Nazar Qatal Karne Mein Hai Maahir To Sun,
Hum Bhi Mar-Mar Kar Jeene Mein Ustaad Ho Gaye Hain!
Unke Husn Ka Aalam Na Puchiye,
Bas Tasveer Ho Gaya Hun Tasveer Dekh Kar!
Jalve Machal Pade To Sahar Ka Gumaan Hua,
Zulfein Bikhar Gayi To Siyaah Raat Ho Gayi!



