
Qatil Teri Adaaon Ne Loota Hai;
Mujhe Teri Jafaaon Ne Loota Hai;
Shaunk Nahi Tha Mujhe Mar-Mitne Ka;
Mujhe To In Nashili Nigahon Ne Loota Hai!
Husn Dekha Jo Buton Ka To Khudaa Yaad Aaya;
Raah Kaabe Kee Mili Hai Mujhe But-Khaane Se!
Meaning:
Buton - Idols
But-Khane - Temples, Abode of idols

Chand Sa Tera Masoom Chehra Tu Haya Kee Ek Murat Hai;
Tujhe Dekh Ke Kaliyan Bhi Sharmaye Tu Itni Khoobsurat Hai!
Zikr Jab Chhid Geya Qayamat Ka;
Baat Pahunchi Teri Jawani Tak!
Jaise Meri Nigaah Ne Dekhaa Na Ho Kabhi;
Mehsoos Ye Hua Tujhe Har Baar Dekh Kar!
Fizao Ka Mausam Jaane Ke Baad Baharo Ka Mausam Aaya;
Gulab Se Gulab Ka Rang Tere Gaalon Par Aaya;
Tere Naino Ne Kaali Ghata Ka Jab Kajal Lagaya;
Jawani Jo Tum Par Aayi To Nasha Meri Aankhon Mein Aaya!
Aise Chhupne Se Na Chhupna Hi Tha Behtar Tera;
Tu Hai Parde Mein Magar Zikr Hai Ghar Ghar Tera!
Jab Samne Hote Ho Tum, Na Jane Kyon Hosh Kho Dete Hain Hum;
Milti Hai Nazar Jab-Jab Tumse, Kasam Khudaa Kee Khudaa Ko Bhi Bhool Jaate Hain Hum!

Tujhse Ru-b-Ru Hokar Baatein Karu;
Nigahein Milakar Wafa Ke Vaade Karu;
Thaam Kar Tera Hath Baith Jaun Tere Samne;
Teri Haseen Surat Ke Nazare Karu!

Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye;
Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye!