
Husn Baaton Mein Bhi Paida Kijiye; Saamne Aaina Rakha Kijiye !

Sar Kiya Zulf Ki Shab Ko To Sahar Tak Pahunche; Varna Hum Log Kahan Husn-e-Nazar Tak Pahunche! *Shab: Night

Husn Aur Ishq Hum Aagosh Nazar Aa Jaate; Teri Tasveer Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri;

Aaina Dekh Kar Wo Ye Samjhe;
Mil Gaya Husn-e-Be-Misal Humein!

Hum Hue Tum Hue Ki 'Meer' Hue;
Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Hue!
*Aseer: Prisoner, Captive

Heya Nahi Hai Zamane Ki Aankh Mein Baaki;
Khuda Kare Ki Jawani Teri Rahe Be-Dagh!

Auron Ki Burai Ko Na Dekhun Wo Nazar De;
Haan Apni Burai Ko Parakhne Ka Hunar De!

Aankhon Ko Ek Khwab Dikhaya Ja Sakta Hai;
Qissa Yusuf Ka Dohraya Ja Sakta Hai!

Tum Phir Usi Ada Se Angdayi Le Ke Hans Do;
Aa Jayega Palat Kar Guzra Hua Zamana!

Tadap Jaata Hun Jab Bijli Chamakti Dekh Leta Hun;
Ki Is Se Milta-Julta Sa Kisi Ka Muskurana Hai!