Heya Nahi Hai Zamane Ki Aankh Mein Baaki;
Khuda Kare Ki Jawani Teri Rahe Be-Dagh!
Auron Ki Burai Ko Na Dekhun Wo Nazar De;
Haan Apni Burai Ko Parakhne Ka Hunar De!
Aankhon Ko Ek Khwab Dikhaya Ja Sakta Hai;
Qissa Yusuf Ka Dohraya Ja Sakta Hai!
Tum Phir Usi Ada Se Angdayi Le Ke Hans Do;
Aa Jayega Palat Kar Guzra Hua Zamana!
Tadap Jaata Hun Jab Bijli Chamakti Dekh Leta Hun;
Ki Is Se Milta-Julta Sa Kisi Ka Muskurana Hai!
Chand Bhi Hairan Dariya Bhi Pareshani Mein Hai;
Aks Kis Ka Hai Ki Itni Roshni Paani Mein Hai!
Teer-o-Talvar Se Badh Kar Hai Teri Tirchhi Nigah;
Saikdon Aashiqon Ka Khoon Kiye Baithi Hai!
Aankhon Mein Sulagti Hui Vehshat Ke Jilau Mein;
Wo Hairat-o-Hasrat Ka Jahan Yaad Rahega!
*Jilau: In the company of/Side
Phoolon Mein Vahi To Phool Thehra;
Jo Tere Salaam Ko Khila Ho!
Kuch Tumhari Nigaah Kafir Thi;
Kuch Mujhe Bhi Kharab Hona Tha!



