Din Aa Gaye Shabab Ke Aanchal Sambhaliye;
Hone Lagi Hai Shehar Mein Hulchul Sambhaliye!
Jab Yaar Ne Utha Kar Zulfon Ke Baal Bandhe;
Tab Maine Apne Dil Mein Lakhon Khayal Bandhe!
Kal Raat Ko Dekha Tha Jise Khwab Mein Tum Ne;
Rukhsar Pe Rakhe Hue Rukhsar Humin The!
Charagh-e-Husn-e-Yusuf Jab Ho Roshan;
Rahe Phir Kis Tarah Zinda Andhera!
Ab Tum Bhi Zara Husn-e-Jahan-Soz Ko Roko;
Hum To Dil-e-Betaab Ko Samjhaye Hue Hain!
Kya Husn Ne Samjha Hai Kya Ishq Ne Jana Hai;
Hum Khak-Nashinon Ki Thokar Mein Zamaana Hai!
Apni Surat Pe Bhi Nazar Rakhiye;
Aaina Haath Mein Agar Rakhiye!
Gulon Ko Chum Kar Aayi Saba Si Lagti Thi;
Thi Ik Nazar Pe Moattar Hawa Si Lagti Thi!
*Moattar - perfumed, fragrant
Aaye Ho To Ye Hijab Kya Hai;
Munh Khol Do Naqab Kya Hai!
Teri Aankhon Ka Kuchh Kasoor Nahi;
Haan Mujhi Ko Kharab Hona Tha!



