
Na Mila Kar Udaas Logo Se;
Husn Tera Bikhar Na Jaye Kahin!

Dil Hi Toh Hai Na Aaye Kyon, Dam Hi Toh Hai Na Jaye Kyon;
Hum Ko Khuda Jo Sabar De Tujh Se Haseen Bnaye Kyon!

Nikalo Apna Chaand Sa Chehra Agosh-e-Bistar Se,
Subah Taras Rahi Hai Tera Deedar Karne Ko!

Kyon Vasl Ki Shab Haath Lagaane Nahin Dete;
Ma-Shuq Ho Ya Koi Amaanat Ho Kisi Ki!

Honth Uske Chehre Par Kuch Yun Nazar Aate Hain,
Doodh Mein Rakhi Ho Jaise Do Pattiyan Gulaab Ki!

Husn Walon Ko Kya Zaroorat Hai Sanwarne Ki;
Woh To Saadgi Mein Bhi Qayamat Ki Ada Rakhte Hain!

Mitti Ki Anokhi Moorat Ho Tum;
Zindagi Ki Ek Zarurat Ho Tum;
Phool Toh Khoobsurat Hote Hain;
Phoolon Se Bhi Khoobsurat Ho Tum!

Ab Main Samjha Tere Rukhsaar Pe Til Ka Matlab;
Daulat-e-Husn Pe Darbaan Bitha Rakha Hai!
Rukhsaar: Cheek
Darbaan: Door Keeper

Tum Ne Hi Naqsh Naqsh Kiya Har Lakeer Ko;
Warna Khud Apne Roop Kahan Jaanta Tha Main!
Naqsh: Photograph

Ab Main Samjha Tere Rukhsaar Pe Til Ka Matlab;
Daulat-e-Husn Pe Darbaan Bitha Rakha Hai!
Rukhsaar: Cheek
Darbaan: Door Keeper