Na Rahbar Pe Nazar Aur Na Manzilon Ki Khabar;
Tere Kadam-ba-Kadam Tere Jaan-Nisar Chale!
Is Dil Ko Agar Tera Sahara Nahi Milta;
Qismat Ko Koi Chand Sitara Nahi Milta!
Maangti Hai Ab Mohabbat Apne Hone Ka Saboot;
Aur Main Jaata Nahi Izhaar Ki Tafsil Mein!
*Tafsil: Analysis
Ik Saal Gaya Ik Saal Naya Hai Aane Ko;
Par Waqt Ka Ab Bhi Hosh Nahi Deewane Ko!
Mohabbat Ke Liye Jazba Hai Lazim;
Ye Aaina To Yun Milta Nahi Hai!
Likha Wohi Tha Ki Jo Tha Naseeb Ka Likha;
Bala Se Khat Ka Jawaab Us Ne Kuch Diya To Sahi!
Aankhon Se Mohabbat Ke Ishare Nikal Aaye;
Barsat Ke Mausam Mein Sitare Nikal Aaye!
Manzil Mili Murad Mili Mudda Mila;
Sab Kuch Mujhe Mila Jo Tera Naqsh-e-Pa Mila!
Musafiron Se Mohabbat Ki Baat Kar Lekin;
Musafiron Ki Mohabbat Ka Aitbar Na Kar!
Na Jaane Keh Gaye Kya Aap Muskurane Mein;
Hai Dil Ko Naaz Ki Jaan Aa Gayi Fasane Mein!



