
Main Hun Suraj-Mukhi Tu Mera Hai Dilbar Suraj;
Tu Jidhar Jaaye Mera Rukh Bhi Udhar Ho Jaaye!

Raas Aane Lagi Duniya To Kaha Dil Ne Ki Ja;
Ab Tujhe Dard Ki Daulat Nahin Milne Wali!

Dil Gaya Saanson Ka Ab Gham Kya Karen;
Tum Batao Jaan Ki Ab Ham Kya Karen!

Dil Pagal Hai Roz Nayi Nadani Karta Hai;
Aag Mein Aag Milata Hai Phir Paani Karta Hai!

Angdai Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Haath;
Dekha Jo Mujh Ko Chhod Diye Muskura Ke Haath!

Dhoop Rukhsat Hui Shaam Aayi Sitara Chamka;
Gard Jab Baith Gayi Naam Tumhara Chamka!

Payal Kabhi Na Khol De Saajan Dil Ka Raaz;
Door Door Tak Jayegi Ghunghru Ki Awaaz!

Naseh Nasihaten Ye Kahan Yaad Rehti Hain;
Hazrat Abhi Kisi Se Tabiyat Lagi Nahi!

Wo Mila Ke Nazar Is Ada Se Chala;
Jaise Milne Kisi Apsara Se Chala!

Main Pehle Be-Bak Hua Tha Josh-e-Mohabbat Mein;
Meri Tarah Phir Us Ne Bhi Sharmana Chhoda Tha!