Manzil Mili Murad Mili Mudda Mila;
Sab Kuch Mujhe Mila Jo Tera Naqsh-e-Pa Mila!
Musafiron Se Mohabbat Ki Baat Kar Lekin;
Musafiron Ki Mohabbat Ka Aitbar Na Kar!
Na Jaane Keh Gaye Kya Aap Muskurane Mein;
Hai Dil Ko Naaz Ki Jaan Aa Gayi Fasane Mein!
Haath Rakh Kar Jo Wo Puchhe Dil-e-Betab Ka Haal;
Ho Bhi Aaram To Keh Dun Mujhe Aaram Nahi!
Maraz-e-Ishq Jise Ho Use Kya Yaad Rahe;
Na Dawa Yaad Rahe Aur Na Dua Yaad Rahe!
Dil Mein Kisi Ke Raah Kiye Ja Raha Hun Main;
Kitna Haseen Gunah Kiye Ja Raha Hun Main!
Bhari Bahar Mein Ek Shaakh Par Khila Hai Gulab;
Ki Jaise Tu Ne Hatheli Pe Gaal Rakha Hai!
Tere Khyaal Ke Deewar-o-Dar Banate Hain;
Hum Apne Ghar Mein Bhi Tera Hi Ghar Banate Hain!
Main Hun Suraj-Mukhi Tu Mera Hai Dilbar Suraj;
Tu Jidhar Jaaye Mera Rukh Bhi Udhar Ho Jaaye!
Raas Aane Lagi Duniya To Kaha Dil Ne Ki Ja;
Ab Tujhe Dard Ki Daulat Nahin Milne Wali!



