Shayari



sms

Ab Tere Mere Beech Koi Faasla Bhi Ho;
Hum Log Jab Milen, Toh Koi Doosra Bhi Ho!

sms

Paani Se Tasveer Kahan Banti Hai,
Khwaabo Se Taqdeer Kahan Banti Hai;
Kisi Ko Chaho Toh Sachhe Dil Se,
Kyonki Yeh Zindagi Phir Kahan Milti Ha!

sms

Jab Jab Aapse Milne Kee Umeed Nazar Aayi,
Mere Paanv Mein Zanzeer Nazar Aayi;
Gir Pade Aansu Aankh Se,
Aur Har Ek Aansu Mein Aapki Tasveer Nazar Aayi!

sms

Inkaar Ki Talab Hai Na Iqraar Ki Talab Hai;
Bas Ek Baar Tere Deedar Kya Talab Hai!

sms

Behtar Kya Kya Ho Raha Ai Dil Kuch Toh Bol;
Ek Aankh Roye Bahut Ek Hanse Jee Khol!

sms

Yun Nazar Ki Baat Ki Aur Dil Chura Gaye Andheron Ke Saaye Mein;
Dhadkan Suna Gaye Hum Toh Samjhte Ajnabi Aap Ko Par Aap Toh Humein Apna Bana Gaye!

sms

Chehre Par Hansi Chha Jati Hai,
Aankhon Mein Suroor Aa Jata Hai;
Jab Tum Mujhe Apna Kehte Ho,
Apne Aap Par Guroor Aa Jata Hai!

sms

Pyaar Mein Maut Se Darta Kaun Hai,
Pyaar Ho Jata Hai Karta Kaun Hai;
Aap Jaise Yaar Par Hum To Kya Sari Duniya Fida Hai,
Lekin Hamari Tarah Aap Par Marta Kaun Hai!

sms

Tazurba Kehta Hai Mohabbat Se Kinara Kar Lu;
Aur Dil Kehta Hai Ki Ye Tazurba Dobara Kar Lu!

sms

Dil Mein Aarzoo Ke Diye Jalte Rahenge,
Aankhon Se Moti Nikalte Rahenge;
Tum Shama Ban Kar Dil Mein Roshni Karo,
Hum Mom Ki Tarah Pighalte Rahenge!

End of content

No more pages to load

Next page