
Nahi Basti Kisi Aur Ki Surat Ab In Aankhon Mein,
Kaash Ki Humne Tujhe Itne Gaur Se Na Dekha Hota!

Ishq Sunte The Jise Hum Woh Yahi Hai Shayad;
Khud-Ba-Khud Dil Mein Hai Ik Shakhs Samaya Hoya!

Hum Arz-e-Wafa Bhi Kar Na Sake Kuch Keh Na Sake Kuch Sun Na Sake;
Ya Hum Ne Zubaan Hi Kholi Thi Wahan Aankh Jhuki Sharma Gaye!

Bas Gayi Hai Ye Mere Ehsaas Mein Kaisi Mehak;
Koi Khushbu Main Lagaoon Teri Khushbu Aaye!

Firaq-e Yaar Ne Bechain Mujh Ko Raat Bhar Rakha;
Kabhi Takiya Idhar Rakha Kabhi Takiya Udhar Rakha!

Hum Apni Rooh Tere Jism Mein Hi Chhod Aaye Faraz;
Tujhe Gale Se Lagana Toh Ek Bahana Tha!

Yun Toh Teri Nazaron Ne Aisa Kaam Kar Diya,
Logo Ki Nazaron Mein Mujhe Badnaam Kar Diya;
Meri Badnami Bhi Mujhe Bha Gayi Yaaro,
Jabse Logo Ne Unhein Meri Jaan Keh Diya!

Teri Dhadkan Hi Zindagi Ka Qissa Hai Mera,
Tu Zindagi Ka Ek Aham Hissa Hai Mera;
Meri Mohabbat Tujh Se Sirf Lafzon Ki Nahi Hai,
Teri Rooh Se Rooh Tak Ka Rishta Hai Mera!

Udhar Se Chand Tum Dekho, Idhar Se Chand Ham Dekhen;
Nigahein Yun Takrayein Ki Do Dilon Ki Eid Ho Jaye!

Jaise Meri Nigaah Ne Dekhaa Na Ho Kabhi;
Mehsoos Ye Hua Tujhe Har Baar Dekh Kar!