
Ungaliyaan Aaj Tak Isi Soch Mein Gum Hain 'Faraz';
Usne Kaise Naye Haath Ko Thaama Hoga!

Pyaar Ka Pehla Khat Likhne Mein Waqt To Lagta Hai,
Naye Parindon Ko Udne Mein Waqt To Lagta Hai;
Jism Ki Baat Nahi Thi Un Ki, Dil Tak Jana Tha,
Lambi Doori Tai Karne Mein, Waqt To Lagta Hai!

Kamaal-e-Tishanagi Hi Se Bujha Lete Hain Pyaas Apni;
Isi Tapte Hue Sahara Ko Hum Dariya Samjhte Hain!

Itni Si Baat Pe Dil Ki Dhadkan Ruk Gayi 'Faraz';
Ek Pal Jo Tasavvur Kiya Tere Bina Jeene Ka!

Kis Dhitahai Se Woh Dil Chheen Ke Kehte Hain Ameer;
Woh Mira Ghar Hai Rahe Jis Mein Mohabbat Meri!

Aao Mere Aagosh Mein Mohabbat Ki Bandagi Kar Lein;
Inn Aankhon Se Kab Tak Luka-Chhipi Khelen Ge!

Bada Shor Sunte The Pehlu Mein Dil Ka;
Jo Cheera To Ik Qatra-e-Khoon Na Nikla!

Humare Ishq Ko Yun Na Aazmaao Sanam,
Pattharon Ko Dhadkna Sikha Dete Hain Hum!

Ek Si Shokhi Khuda Ne Di Hai, Husn-o-Ishq Ko;
Fark Bas Itna Hai Woh Aankhon Mein Hai Yeh Dil Mein Hai!

Nigaahon Se Qatal Kar De, Na Ho Takleef Dono Ko;
Tujhe Khanjar Uthane Ki Mujhe Gardan Jhukane Ki!