
Zindagi Mein Kisi Ka Saath Kaafi Hai;
Haathon Mein Kisi Ka Haath Kafi Hai;
Door Ho Ya Paas Fark Nahi Padta;
Pyaar Ka To Bas Ehsaas Hi Kaafi Hai!

Toofano Se Aankh Milao, Sailabon Pe Vaar Karo;
Mallaho Ka Chakkar Chodo, Tair Kar Dariya Paar Karo;
Phoolon Ki Dukaane Kholo, Khushbu Ka Vyaapar Karo;
Ishq Khata Hai, To Ye Khata Ek Baar Nahi, Sau Baar Karo!
Inkaar Ki Si Lazzat, Iqrar Main Kahan Hai;
Badhta Hai Ishq Mohsin Unn Ki Nahi Nahi Se!

Ajeeb Yeh Aashiqui Hai;
Kabhi Shor Tang Karta Hai;
Aur Kabhi Sannata Satata Hai!

Fiza Mein Mehakti Shaam Ho Tum;
Pyaar Mein Jhalakta Jaam Ho Tum;
Seene Mein Chupaye Phirte Hain Hum Yaadein Tumhari;
Isliye Meri Zindagi Ka Dusra Naam Ho Tum!
Ilzaam Lagane Se Koi Gunahgar Nahi Hota;
Hawa Ke Jhonke Se Bikhar Jaye Woh Pyaar Nahi Hota;
Woh Kya Khaak Mohabbat Karenge Arif;
Pyaar Par Apne Jinhe Aitbaar Nahi Hota!
Kaun Kehta Hai Nafraton Mein Dard Hai Mohsin;
Kuch Mohabbatein Bhi Badi Aziyat Naak Hoti Hain!

Is Qadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai;
Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Daalein Tum Ko!

Kuch Sitaron Ki Chamak Nahi Jaati;
Kuch Yaadon Ki Khanak Nahi Jati;
Kuch Logon Se Hota Hai Aisa Rishta;
Ki Door Rehke Bhi Unki Mehak Nahi Jaati!
Uss Ghadi Dekho Unka Aalam,
Neend Se Jab Hon Bhojhal Aankhein;
Kaun Meri Nazar Mein Samaaye,
Dekhi Hain Maine Tumhari Aankhein!