Pyaar Karo To Hamesha Muskura Ke;
Kisi Ko Dhokha Na Do Apna Bana Ke;
Kar Lo Yaad Jab Tak Hum Zinda Hain;
Phir Na Kehna Ki Chale Gaye Dil Mein Yaadein Basa Ke!
Duniya Mein Itni Rasmein Kyon Hain;
Pyaar Agar Zindagi Hai To Ismein Kasmein Kyon Hain;
Humein Batata Kyon Nahi Koi Ye Raaz;
Dil Agar Apna Hai To Ye Kisi Aur Ke Bas Mein Kyon Hai!
Kuch Din Se Soch Raha Hun Phir Se Mohabbat Kar Loon;
Iss Bahane Thoda Jeena To Aayega Humein!
Woh Inkar Karte Hain Ikrar Ke Liye;
Nafrat Bhi Karte Hain To Pyaar Ke Liye;
Ulti Chaal Chalte Hain Yeh Ishq Karne Wale;
Aankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye!
Tapakti Hai Nigahon Se, Barasti Hai Adaaon Se;
Mohabbat Kaun Kehta Hai Ke Pehchaani Nahi Jati!
Hum Ko Maloom Nahi Chahat Ke Taqaze Lekin;
Hum Ne Teri Baaton Ke Siwa Har Baat Bhula Rakhi Hai!
Suraj, Sitaare, Chaand Mere Saath Mein Rahe;
Jab Tak Tumhare Haath Mere Haath Mein Rahe;
Shaakhaon Se Toot Jaaye Wo Patte Nahi Hain Hum;
Aandhi Se Koi Keh De Ki Aukaat Mein Rahe!
Zindagi Mein Kisi Ka Saath Kaafi Hai;
Haathon Mein Kisi Ka Haath Kafi Hai;
Door Ho Ya Paas Fark Nahi Padta;
Pyaar Ka To Bas Ehsaas Hi Kaafi Hai!
Zindagi Mein Kisi Ka Saath Kaafi Hai;
Haathon Mein Kisi Ka Haath Kafi Hai;
Door Ho Ya Paas Fark Nahi Padta;
Pyaar Ka To Bas Ehsaas Hi Kaafi Hai!
Toofano Se Aankh Milao, Sailabon Pe Vaar Karo;
Mallaho Ka Chakkar Chodo, Tair Kar Dariya Paar Karo;
Phoolon Ki Dukaane Kholo, Khushbu Ka Vyaapar Karo;
Ishq Khata Hai, To Ye Khata Ek Baar Nahi, Sau Baar Karo!



