Dekhna Achcha Nahi Zaanu Pe Rakh Kar Aaina;
Donon Nazuk Hain Na Rakhiyo Aaine Par Aaina!
*Zaanu: Part between the waist and knee while sitting on knees
Munh Jo Dekhe Aaina Gar Kanch Ka,
Muskura Uthe Muqaddar Kanch Ka;
Bhool Jaunga Main Apne Aap Ko,
Aks Pehchanega Jo Har Kanch Ka!
Ishq Par Zor Nahi Hai Ye Wo Aatish 'Ghalib';
Ki Lagaye Na Lage Aur Bujhaye Na Bane!
Is Kufr-e-Ishq Se Mujhe Kyon Rokte Ho Tum,
Imaan Walo Mera Hi Imaan Jayega;
Aaj Us Se Maine Shikwa Kiya Tha Shararatan,
Kis Ko Khabar Thi Itna Bura Maan Jayega!
Jo Dil Rakhte Hain Seene Mein Woh Kaafir Ho Nahi Sakte;
Mohabbat Deen Hoti Hai Wafa Imaan Hoti Hai!
Tumhare Shehar Ka Mausam Bada Suhana Lage;
Main Ek Shaam Chura Loon Agar Bura Na Lage!
Maang Lun Tujh Se Tujhi Ko Ki Sabhi Kuch Mil Jaye;
Sau Sawalon Se Yahi Ek Sawal Achchha Hai!
Meri Koshish Ka Samar Hai Mukhtalif,
Pyaar Ka Us Par Asar Hai Mukhtalif;
Saari Duniya Mein Nahi Us Ki Misaal,
Sab Se Wo Rashk-e-Qamar Hai Mukhtalif!
*Mukhtalif: Different
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ki Tu Kya Hai,
Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-e-Guftgu Kya Hai;
Na Sholay Mein Yeh Karishma, Na Barq Mein Ye Ada,
Koi Batao Ki Wo Shokh Tund Khu Kya Hai!
Nazr-e-Karam Mujh Par Itna Na Kar,
Ki Teri Mohabbat Ke Liye Baaghi Ho Jaaun;
Mujhe Itna Na Pila Ishq-e-Jaam Ki,
Main Ishq Ke Zehar Ka Aadi Ho Jaaun!



