Jhooth Kehte Hain Log Ki Mohabbat Sab Kuch Cheen Leti Hai;
Maine Toh Mohabbat Karke Ghamon Ka Khazana Paa Liya!
Hawa Mein Aaj Bhi Roti Hai Bansuri;
Udaas Phirti Hai Sadiyon Se Heer Jungle Mein!
Zindagi Ko Gale Lagane Ko Dil Chahta Hai;
Maut Se Hath Milane Ko Dil Chahta Hai;
Jab Kabhi Aa Jati Hai Yaad Tumhari Toh;
Pass Tumhare Aa Jane Ko Dil Chahata Hai!
Narazgi Chahe Kitni Bhi ho Tum Se;
Par Tumhein Bhool Jane Ka Khayal Aaj Bhi Nahi Aata!
Mohabbat Nahi Hai Naam Sirf Paa Lene Ka;
Bichhad Ke Bhi Aksar Dil Dhadakte Hain Saath Saath!
Kaash Yeh Sapna Bhi Pura Ho Jaye;
Hum Bhi Kisi Ke Sapno Mein Aa Jayein;
Ho Hamara Bhi Zikar Unke Laboon Par;
Hum Bhi Unke Dil Mein Bas Jayein!
Mujhe Chhodkar Woh Khush Hai To Shikayat Kaisi;
Ab Main Unhe Kush Bhi Na Dekhu Toh Mohabbat Kaisi!
Khayal Tera Toh Sanson Jaisa Hai;
Yeh Na Aaye Toh Mar Jaun Main!
Mere Dil Ne Jab Bhi Dua Mangi Hai;
Tujhe Manga Hai Teri Wafa Mangi Hai;
Jis Mohabbat Ko Dekh Ke Dunia Ko Rashk Aye;
Tere Pyar Karne Ki Wo Ada Mangi Hai!
Ada Labon Se Dil Ki Baat Ho Jane Do;
Qabool Aaj Dil Ki Ibadat Ho Jane Do;
Tanha Chal Rahe Ho Dasht e Zeest Mein;
Do Pal Mujhko Zara Saath Ho Jane Do!



