Rehte Ho Aaj Bhi Sanson Mein Tum,
Yaadon Mein Tum Kitabon Mein Tum,
Jab Bhi Kalam Uthata Hun Likhne Ke Liye,
Ban Kar Ghazal Aa Jate Ho Lafzon Mein Tum!

Kuch Is Tarah Se Wo Meri Baaton Ka Zikar Kiya Karti Hai;
Suna Hai Wo Aaj Bhi Meri Fikar Kiya Karti Hai!

Cheen Lun Tujhe Duniya Se Ye Mere Bas Mein Nahi;
Mere Dil Se Tujhe Koi Nikaal De Ye Bhi Kisi Ke Bas Mein Nahi!

Raaz-E-Dil Kya Bayan Karen Hum,
Hum Aaj Bhi Dil Se Marte Hain Un Pe!

Mohabbat, Mohabbat Hi Rahegi, Badal Nahi Jayegi;
Chahe Tu Mujh Se Kar Ya Main Tum Se Karun!
Kis Kis Tarah Se Chuppaon Tumhein Main;
Meri Muskaan Mein Bhi Nazar Aane Lage Ho Tum!

Haal To Puch Lun Tera Par Darta Hun Aawaz Se Teri;
Jab Jab Suni Hai Kambakht Mohabbat Hi Hui Hai!

Tum Hansti Ho Mujhe Hansane Ke Liye,
Tum Roti Ho Mujhe Rulane Ke Liye,
Tum Ek Baar Rooth Kar To Dekho,
Mar Bhi Jaunga Tumhein Manane Ke Liye!
Dil Ki Nazuk Dhadkano Ko Mere Sanam Tum Ne Dhadakna Sikha Diya;
Jab Se Mila Hai Tera Pyaar Dil Ko Gham Mein Bhi Muskurana Sikha Diya!
Itne Saalon Ke Intezaar Ke Baad, Aaj Main Khushi Se Samandar Bhar Dun;
Tumhari Iss Haan Ko Sunne Ke Baad, Kahin Is Samandar Mein Hi Doob Na Jaun!