Shayari



Wo Mere Dil Par Sar Rakh Kar Soi Thi Bekhabar,
Humne Dhadkan Hi Rok Li Ki Kahin Uski Neend Na Toot Jaye!

sms

Badalna Nahi Aata Humein Mausam Ki Tarah,
Har Ek Rut Mein Tera Intezaar Karte Hain,
Na Tum Samjh Sako Jise Qayamat Tak,
Kasam Tumhari Tumhein Itna Pyaar Karte Hain!

Manzilon Se Apni Kabhi Darr Na Jaana,
Raaste Ki Pareshaniyo Se Kahin Toot Na Jana,
Jab Bhi Zaroorat Ho Zindagi Mein Kisi Apne Ki,
Hum Aapke Apne Hi Hain Yeh Bhool Na Jana!

Main Lab Hun, Meri Baat Tum Ho,
Main Tab Hun, Jab Mere Saath Tum Ho!

sms

Judaa Hai To Kya Hua Doori To Nahi,
Baat Bhi Na Ho Aisi Mazboori To Nahi,
Nazar Nahi Aate Ho Aap To Kya Hua,
In Aankhon Mein Tasveer Aapki Adhuri To Nahi!

sms

Sar-e-Raah Jo Unse Nazar Mili To Naqsh Dil Ke Ubhar Gaye,
Hum Nazar Mila Kar Jhijhak Gaye Woh Nazar Jhuka Kar Chale Gaye!

sms

Naam To Likh Dun Uska Apni Har Shayari Ke Saath,
Magar Phir Khayal Aata Hai Masoom Hai Kahin Badnaam Na Ho Jaye!

sms

Meri Rooh Ko Chhoo Lene Ke Liye Bas Kuch Lafz Hi Kaafi Hain;
Keh Do Bas Itna Hi Ki Tere Saath Jeena Abhi Baaki Hai!

sms

Bepanah Mohabbat Ka Ek Hi Usool Hai,
Mile Ya Na Mile, Tu Har Haal Mein Qubool Hai!

sms

Ahista Bolne Ka Tera Andaaz Bahut Kamaal Hai,
Kaan Sunte Kuch Nahi Lekin Dil Sab Samjh Jaata Hai!

End of content

No more pages to load

Next page